SHAIRI

Posted by admin on April 14, 2016 in SHAIRI |
logo-shayari

Ae baarish barasna chor bhi day ab,
Yeh rim jhim humay satati hay
Teray mizaj jaisa hay,
Meray pyaar ka mizaaj
Tujhay dekh kr humay
Un ki yaad ati hay
============================================
Aisa hoskta hai na? K mein ny jaan liya ho,
Tujhay teri zaat ki ghehrai tak,
Teri mehfil se lay kr teri tanhayee tak,
Aisa hoskta hay na? K mein ny bohat karb saha ho,
Teray sitam se lay kar, Teri maseehai tak,
Aur aisa bhi toh hoskta hay na?
K tujhay koi dukh na ho,
Meray milnay se lay ker meri judai tak,
Han Yaqeen karo! Aisa hoskta hay shayd!
K umr bhar k liyay kaafi ho,
Yahi dukh, k mein nay safar kiya ..
Apni zaat se lay kar teri zaat ki “RASAI” tak.

============================================
Kabhi yaad ao to is trhan, K dil o nazar mein uttar sako
Sar-e-rahguzar jo milo kabhi, Na thehar sako, na guzar sako,
Mera dard phir se ghazal banay, Kabhi gungunao toh is trhan
Meray zakhm phir se gulab hon, Kabhi muskurao toh is trhan,
Na ujar saken na sanwar saken, Kabhi dil dukhao toh is trhan,
Na simat saken, na bikhar saken, Kabhi bhool jao toh is trhan,
Kisi tor jaan se guzar saken , Kabhi yaad ao toh is trhan.

============================================
Jin raahon pe ik umr teray sath rhay hain,
Kutch roaz se woh raastay sunsaan bohat hain,
Ek tark e wafa par mein kaisay bhula don,
Mujh par abhi us shakhs k ehsaan bohat hain,
Bhar aain na ankhain to aik baat bataoon,
Ab tujh se bichar jaanay k imkaan bohat hain,
Maloom nhain humko elaaj e gham jaanan,
Warna toh is shehar mein luqmaan bohat hain.

============================================
Tera dard tha, teri yad thi, Mein jhan rha, mein jidhar gaya,
Meray din to jaisay guzr gya, Junhi shaam hui, mein bikhar gaya,
Is abar ka meray yaar se, Bara milta julta mizaaj tha
Kabhi toot kar baras gaya, Kabhi be-rukhi se guzar gaya,
Jab mein chor donga woh gali, Usay yad ayay gi tab meri,
Khojay gi woh tab mujhay, Usay khabar milay gi mein mar gaya…!
Abhi tang hay woh meray naam se, Meray baad ayay gi who doston,
Woh tumhi ko rok k poochay gi, Woh kahan pe hay, woh kidhar gaya?

============================================
Ajab bemaqsad hai silsila-e-ishq B,
Ye Lamha Hum Se Guzara Nahi Jaata
Nahi door tak jeet k asaar magar,
Na janey Q humse haara nhai jaata.

============================================
Koi Muntazir Hay Us Ka Kitni Shidat Se Faraaz
Woh Jaanta Hay Magar Anjaan Bana Rehta Hay
============================================
Woh Jo Khud Pairvi E Ehle Jafa Karta Tha
Mujh Se Milta Tha Toh Talqeen’e Wafa Karta Tha
Us K Daman Mein Koi Phool Nhain Meray Liyay
Jo Meri Tangi’e Daman Ka Gila Karta Tha
Ab Jo Usko Bulaya Toh Woh Gumsum Hi Raha
Dil Dharaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha
Aj Woh Meri Har Aik Baat K Maeni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tehreer Likha Karta Tha
Us Ko Ehsas Dilaya Toh Woh Milta Hi Nhain Ajnabi That Oh Roaz Mila Krta Tha
Uski Dehleez Pe Sadiyon Se Khara Hon Mohsin
Mujh Se Milnay K Jo Lamhat Gina Karta Tha

============================================
Kal Sehan Mein Hum Baad-e-Saba Dhoondtay Rhay
Bichar K Tujh Se Tera Patta Dhoondtay Rahay
Jo Dekha Bhi Kisi Ko Dekha Teray Tassawur Mein
Hum Chehron Mein Chehra Tera Dhoondtay Rhay
Jo Baat Bhi Ki Kisi Se Toh Ki Teray Hawalay Se
Hum Lehjon Mein Lehja Tera Dhoondtay Rhay
Meri Deewangi Mein Kutch Qasoor Mera Toh Na Tha
Tamam Qissay Mein Hum Apni Khata Dhoondtay Rhay
Kabhi Kho Ker Paaya Tujh Ko Kabhi Pa K Khoya
Teri Jafaon Mein Hum Apni Wafa Dhoondtay Rhay!

============================================
Baat thi mohabat ki, Umr bhar ki chahat ki,
Bheer mein zamanay ki saath saath chalna tha,
Imtehan bhi anay thay, Zindagi k sab hi pal sath hi bitanay thay,
Jaanay tum nay kiya socha? Bas aik pal mein hi,
Baat khatam kar daali, Zaindagi jo poori thi,
Woh adhoori kar daali, Par kon tumko samjhaayay?
K mohabaton k mausam bhi, Roaz toh nhain aatay!
Yun zindagi mein Apnon ko, Chorr to nhain jaatay.

============================================
Jab tera dard maire sath wafa krta hai,
Ek samndar meri ankhon se baha krta hai,
Us ki batain mujhay khushbu ki trhan lagti hain,
Phool jaisay koi sehra main khila karta hai,
Meray dost ki pehchan ye hi kaafi hai,
Wo hr ik shakhs ko danista khafa karta hai,
R to koi sabab us ki mohabat ka nahi,
Bat itni hai k wo mujh se jafa karta hai
Jab khazaan ayay gi to wo B laut aye ga “Faraz”
Wo bahaaron main zara kam hi mila krta hai.

============================================
Wo tum nahi ik khayal hai,
Meri soch ka hi kamal hai,
Wo mohabatain wo chahatain
Meri uljhanon ka hi jaal hai,
Maire dil main hain jo ronakain
Woh tera hi husn o jamal hai
Jawab jis ka mila nahi,
Wo aisa hi ik sawal hai
Woh aj mila to yun laga,
Yehi to hai wo jis ka intezar hai
Usay yad kaisey na karay koi,
Usay bhoolna to muhaal hai
Ab uski kia main misaal don,
Woh Toh Apni Misaal Ap Hay

============================================
Suljha hua sa fard samajhtay hain Mujh ko Loag ,
Uljha hua se Mujh mein koi doosra bhi hay..!

============================================
Woh jo daaway’daar hay shehar mein, k sab hi ka nbz shanas hun,
Kabhi a k mujh se toh poochta k mein kis k gham mein udaas hon
Yeh meri kitaab e hayat hay isay dil ki ankh se parh zara
Mein warq warq teray sa’mnay teray ru’baru teray pas hon
Yeh teri umeed ko kiya hua? Kabhi tu nay ghor nahin kiya
kisi shaam tu nay kaha to tha teri saans hon teri aas hon
Yeh teri judai ka ghum nhain k yeh silsialy to hain roaz k
Teri zaat is ka sabab nahin? Kayi dinon se yunhi udaas hon

============================================
Kal chand se ye sawal kiya bata to sahi wo kaisa hai?
Toh us nay kaha kuch meri kirnon k jaisa hay kuch aftab k jaisa hai
Kuch kaliyon c hai muskaan us ki kuch khilte gulab k jaisa hai,
Kuch ujalay mein hai jhalak us ki kuch raat k shabab k jaisa hai
Agr husn ko mein ik sawal kahoon to us k jawab k jaisa hai
Jisay dekhon aur choo na sakoon Aisay sundar khwab k jaisa hai
Kehtay hain ishq ibadat hay to woh us k sawab k jaisa hai …
============================================
Tumhain jo besabub mujh se khafa honay ki adat hay, Yeh aghaz e judai hay ya andaz e mohabat hay
Wafa k rang mein dekho jafa achi nahin hoti Kisi k ishq mein itni anaa achi nahin hoti
Chalo ab maan bhi jao bohat ab ho chuki ranjish, Kisi din aur kr lena yeh poori apni tum koshish
Faqat kehnay ki baatain hain nibhata kon hay kis ko Chalo ab dekh letay hain manata kon hay kis ko?

============================================
log har moRh par ruk-ruk ke saNbhalte kyoN haiN
itnaa Darte haiN to ghar se nikalte kyoN haiN

============================================
kaha tha kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yun kiya hai to phir kyu gila karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahi phir bhi
zara fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se

ye kya ke tum hi Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhi to us ke bahaane sunaa karo us se

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil mein hon vahii baatein kiyaa karo us se

‘Faraz’ tark-e-ta’alluq to Khair kyaa hogaa
yahi bahut hai ke kam kam milaa karo us se…
============================================
Piyar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hote hen,
Apni jan jalane wale kuch kuch pagal hote hen,

Hijir ke gahre zakham mile to mujh ko yeh ahisas huwa,
Paagal ko samajne wale kuch kuch pagal hote hen,

Is jhooti nagri men hum ne yehi hamesha dekha hai,
Sachi baat batane wale kuch kuch pagal hote hen,

Piyar jinhen ho jae un ko chain bhala kab ata he,
Shab bhar ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hen,

Jan se piyaray logon se bhi kuch kuch parda lazin hai,
Saari bat batanay wale kuch kuch pagal hote hen,

Us ke ashkoon men bheeg ke aahy aahy haahy ham,
hum ko yeh ehsas huwa, Dil ki nagri lutanay wale kuch kuch pagal hote heni

============================================
aj ashqoon ka taar toot gaya,
Rishta_e_intzaar toot gaya,
Yuun wo thukra ke chal diye goya,
Ikk khilona thaa pyaar toot gaya,
Roye reh reh kar hichkiyaan lekar,
Saaz_e_gam baar baar toot gaya,
Aap ki berukhi ka shikwa kya,
Dil thaa na_paidaar toot gaya,
Dekh lee dil ne besabati_e_gul,
Phir tilism_e_bahar toot gaya,
Kya chaar din ki ranjish se,
Itni muddat ka payar toot gaya

============================================
Na Sawal Ban Kar Mila Karo
Na Jawab Ban Kar Mila Karo
Meri Zindgi Mere khuwaab Hain
Mujhe khuwab Ban Kar Mila KaroMujhe Achay Log Buhut Milay
Mein To Unke Qarz Se Bhar Gaya
Jo Ho Sakey To Kabhi kabhi
To Kharab Ban Kar Mila KaroAbhi Sochna Hai To Soch Lo
Abhi Chorna Hai To Chor Do
Nae Mosmon Mein Milo Mujhe
To Gulab Ban Kar Mila Karo

============================================
ZameeN Thee Meri……Mager Aasmaan Uss ka Tha
Issi Liya Mujhe Khud Per…….. Gumaan Uss ka ThaMain Ab Jo Dhoop Main Jalta Hon..Ussi ka hai Karam
Main Jis ki ChaooN main Tha…….Sai’baan Us ka ThaWoh Jis Ke Waastay Larta Raha Tha Main Sab Se
Mere Khilaf He………….. Har ek Biyaan Uss ka ThaWoh Jis ne Mujh ko Hamesha He Dala Mushkil Mein
Yeh Pehli Baar Tha ……….Ke Imtehaan Uss ka ThaTum Meri Jaan ho…… Yeh Bhee Ussi ka Kehna Tha
Tum Zakhm-e-Jaan ho..Yeh Bhee Biyaan Uss ka ThaJo Roshni Ka Mukhalif Tha………. Shaher’bhar mein
Tamam Shaher Se……. Roshan Makaan Uss ka Tha

============================================
Mere Haathon ki lakeeron main yeh aib chupa hai mohsin
k main jis shakhs ko chah lo wo mera nai rehta
Main Roz-e-Hashr Ka Qaayal Hun Phir Bhi Hanstaa Hun
Ke Aik Bandaa Khudaa Ko Hisaab kyaa Degaa

============================================
!*! Muhabbat jhoot lagti hay mujhay !*!************************Muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
“mujhay tum say muhabbat hay”
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo’n say tari hay
magar janaa’n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
“mujhay tum say muhabbat hay”
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee’n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee’n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa’n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo .

============================================
Müjhäÿ ßäs ïtñä këhñä häï
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sun na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan say choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur say
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya main chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hämäïñ tüm §ääth päö gäÿ…….

============================================
Zindagi kay melay may, khwahishon kay relay may
Tum say kiya kahein jaana, is qadar jhamelay may
Waqt ki rawani hay, bakht ki giraani hay
Sakht bezameeni hay, sakht lamakaani hay
Hijr kay sumandat may
Takht aur takhtay ki aik hii kahani hay
Tumko jo sunani hay
Baat go zarra si hay
Baat umar bhar ki hay
(umar bhar ki baatein kab do gharii may hotii hain !)
Dard kay samundar may
An ginat jazeeray hain, beshumaar motti hain
Aankh kay dareechay may tum nay jo sajaya tha
Baat uss diyye ki hay
Baat uss gillay ki hay
Jo lahoo ki khilwat may chaur bankay aata hay
Lafz ki faseelon pay toot toot jaata hay
Zindagi say lambi hay, baat rat jaggay ki hay
Raastay may kaisay ho!
Baat takhliye ki hay
Takhliye ki baaton may guftugu izaafi hay
Piyaar karne walon ko ik nigah kaafi hay
Ho sakkay tu sun jao aik din akelay may
Tum say kiyaa kahein jaana is qadar jhamelay may !
============================================
Kabhi yun bhi aa meri aankh may ….kabhi yun bhi aa meri aankh may kah meri nazr ko khabar na homujhay aik raat nawaaz dey magar uskay baad sahar na howoh barra raheem o karieem haymujhay yah sift bhi atta karaytujhaybhoolnay ki dua karoon tu meri dua may asar na homeray bazuon may thaki thaki abhi mahw e khwab hay chandaninaa uthay sitaron ki palki, abhi aahaton ka guzar na hoyah ghazal kay jaisay hirn ki aankh may pichli raat ki chandanina bhijjay khrabbay ki raushni, kabhi bechiraagh yah ghar na hokabhi din ki dhoop may jhoom kay kabhi shab kay phool ko choom karyun hii saath saath chalein sadaa, kabhi khatam apna safar na ho !
============================================
Meray dard ki jo dawaa karay…. Meray dard ki jo dawaa karay koi aisaa shakss hua karay
Woh jo bepannah udaas ho magar hijr ka naa gilla karay meri chahatein, meri qurbatein jissay yaad aayein qadam qadam
Tu woh sab say chup kay libas e shab may lipat kay aah o bukaa karay barhay uska gham tu qarar kho day woh meray gham kay khayal say
Utthein haath apnay liye tu phir bhi meray liye hii dua karay yeh qasas ajeeb o ghareeb hain – yah muhabbaton kay naseeb hain
Mujhay kaisay khud say judaa karay ussay khuch batao kay kiya karay kabhi tay karay yunhi soch soch may woh firaq kay faaslay
Meray peechay aakay dabbay dabbay meri aankhein moond hansa karay barra shaur hay meray shahar may kissi ajnabi kay nazool ka
Woh meri hii jaan na ho kaheen koi khuch tu jakay patta karay yeh tu meray dil hii ka aks hay, may nahiin huun par meri aarzoo
Ko junoon hay mujhay yah banna day, tu phir jo chahay qazaa karay bhalla kaisay apnay hii aks ko may rafeeq e jaan banaa sakoon
Koi aur ho tu bataa tu day, koi hay kaheen tu sadaa karay ussay dhoondhti hain galli galli- meri khalwaton ki udaasiyaan
Woh millay tu bas yah kahoon kay aa, mera maulaa tera bhalla karay

============================================
Us nay door rahnay ka
Mashwara bhi likkha hai
Sath he muhabbat ka
Wasta bhi likkha hai
Us nay yah bhi likkha hai
Meray ghar nahin aana
Saaf saaf lafzon mein
Raasta bhi likkha hai
Kuch huroof likkhay hain
Zabt ki naseehat mein
Kuch huroof mein us nay
Hosla bhi likkha hai
Shukriya bhi likkha hai
Dil say yaad karnay ka
Dil say dil ka hai kitna
Faasla bhi likkha hai
============================================
Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khwaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

============================================
Kuch khawab hain jin ko likhna hai..
Taabeer ki sorat daini hai..
Kuch loug hain ujray dil walay..
Jinhain apni mohabbat daini hai..
Kuch phool hain jin ko chunna hai..
Aur haar ki sorat daini hai..
Kuch apni neend baki hai..
Jisay bantna hai kuch lougon mein..
Un ko bhi rahat daini hai..
Aye umer-e-rawaan ahista chal..
Abhi khasa karz chukaana hai..!

============================================
Har baat ka matlab inkaar nahi hota
Har jagah par baithna intezaar nahi hota
Yun tow milti hai nazrain hazaron se

Har nazar ka milna pyaar nahi hota
============================================
Aur Maine Bhi Dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki
Tu Bhi Tamam Umar Dhoondta Raha Mujhe
Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki

============================================
“pyar ke sitare jab gardish me hote hain,
pyar ke sitare jab gardish me hote hain,
laila ghar me aur majnu jail me hote hain”.

============================================
bharee bazm mein raaz ki baat keh di
bara be-adab hon saza chhahta hon
============================================
Aankho ki Talash Jo Hai Wo Hai Tera Chehra
Darkan Dik K Pass To Hai Laikin Hai Be Wajah
Main Hoon Shakh Se Ab Koi Patta Tuta Huwa
Muj Ko Ye Hawain Urati Phrein Har Jaga

============================================
Bewafai se pareshan bhi ho jaatay hain
Narm jhonkay kabhi toofan bhi hojatay hain
Hum nay mehboob jo badla to tajub kaisa faraz?
Loag kaafir se musalman bhi to ho jaatay hain …

============================================
Wo mayusi k mausam mein zara bhi holsa daita …
Toh hum kaghaz ki kashti pe samandar mein utar jaatay…
============================================
Baray israar posheeda hain is tanha pasandi mein,
Yeh mat samjho k deewanay jahan’deeda nahin hottay!
Ta’ajub kiya iqbal agar0 duniya tujh se na khush hay,
Bohat se loag duniya mein pasandeeda nahin hottay.

============================================
Mujhe Jeene ki Umeed dobara de do,
Meri doobti kashti ko kinara de do,
Main Dard k Sahil pe tanha kharra hoon,
Phir aa k apni baanhon ka sahara de do,
Tera daman to bhara hai sitaron se,
Mujhe un sitaron main se 1 sitara de do,
Mere Aangan main aj andhera hai bohet,
Meri Dehleez ko phir apna Nazara de do,
Chand lamhen tujhe dekhne ki Hasrat hai bs,
Main kb khta hun waqat apna sara de do…

============================================
Dil dharkan k bina
Jism rooh k bina
Insan mohabat k bina
Husn tareef k bina
Phool khushbu k bina
Or koi aap k bina
Udaas hai..
============================================
Saari Duniya ke Chup Rehne se Mujhe koi Garraz Nahein
Bas Aik ap ka Chup Rehna Mujhe Takleef Deta he…
============================================
Usay Yaqeen Nahi K Main Jaan De Paoun Ga
faraz
Mujhe Ye Khouf Hai k Roye Ga Boht Aazma K Mujhe.

============================================
“Mat baha aansoo beqadron k liaye
AATISH
jo qadar karte hein wo kabi rone nahi deite”
============================================
Suna hai yaad karte ho! k juß ß sham dhalti hai,
Hijar men jaan jalti hai, Tum apni raat ka aksar sakoon ßarßad karteho, Suna hai yaad karte ho! K juß panchi loat ate hen,
Gamon k geet gaate hen,
suno tum loat aao na,
Ye hi fryaad karte ho,
Suna hai yaad karte ho! Sitaray juß
falak pr jugmagate hen,
Wo ßeete huay pal khooß rulate hen,
Tum us dam apni aankhon men,
Mujhe aßaad karte ho,
Suna hai yaad karte ho!

============================================
Jane Q zindagi ab sehra lagti hai”
“Saans bhi loon tu zakhmon ko hawa lagti hai”
“Q har baat ki taseer mujh par ulti hai”
“Koi dua bhi de tu bad-dua lagti hai”
“Jeene ki tamanna nahin mujh ko zara bhi”
“Saans lena bhi ab tu ik saza lagti hai”
“Apne dil ka haal sunaon bhi tu kise”
“Jab sari duniya hi mujhe bewafa lagti hai”
“Koi marham nahin milta mere dard ka mujh ko”
“Ab tu bas mout hi mere zakhmon ki dawa lagti hy

============================================

Use kaho Qasam le lo,
tmhary bad,
Ksi ka khwab dekha ho
Ksi ko hm ne chaha ho
Ksi ko hm ne socha ho
Ksi ki aarzoo ki ho
Ksi ki justuju ki ho
Ksi ki raah dekhi ho
Ksi ka qurb manga ho
Ksi ko sath rkha ho
Ksi se aas rkhi ho
Koi umeed bandhi ho
Koi dil me utara ho
Koi tm se pyara ho
Koi dil me bsaya ho
Koi apna bnaya ho
Koi rootha ho to hm ne
Usy ro ro mnaya ho
Ksi ki yad ka mosam
Mery aangan me khela ho
Ksi se baat krny ko
Kbi ye hont trsy hon
Ksi ki bewfai pr
Kbi ye nain barsy hon
Kbi raaton ko uth uth kr
Tery dukh me na roye hon
Use kaho Qasam le lo………
============================================
Hum To Naazuk Hein Bilkul kisi Ehsas ki Tarah,
Tum Na Socho ge Humein To Mar Jaen gay,
Paas Raho ya Door itna khayal Rakhna,
K Tum Na Dekho ge Humein To Mar Jaen gay,
Titliyon Mein or Hum Mein yahi Baat hy Mushtrik,
Pakarr k Jab Chorro ge Humein To Mar Jaen gay,
Dil ki Tehni pe Hi khila Rehne Do Humari Mohabat ka phool,
Jab bhi Tehni se Torro ge To Mar Jaen gay,
Kabhi Na Milna Humse Mouj-e-Darya Ban k,
Mil k Bichrro ge Humse To Mar Jaen gay.
============================================
Log Kehte Hein DUKH
Bura Hota Hai
Jab Aata Hai Tab
Rulata Hai
Per Hum Kehte Hein Dukh
Achha Bhi Hota Hai

Jab Aata Hai Tab Apnon Ki Pehchan To Karaata Hai.

============================================
CHAHAT
Ka sirf aik usool hy.
Insan ya to toot K chahta ha
Ya phir chahat me toot jata ha
Jab toot K chahe to duniya samet leta ha
Or jab chahat me toot jata ha to bikhar jata ha
Toot k chahe to mout ko hara deta ha
Or chahat me toot jaye to zindagi se
“HAAR” jata ha’,’

Tags: , ,

Copyright © 2008-2024 Only Messages All rights reserved.
This site is using the Desk Mess Mirrored theme, v2.5, from BuyNowShop.com.